اردو हिंदी
Usi kinara-e-hairat-sara ko jata hun | Shaahi Shayari
usi kinara-e-hairat-sara ko jata hun

Ghazal

Usi kinara-e-hairat-sara ko jata hun

Sarvat Husain

;

usi kinara-e-hairat-sara ko jata hun
main ek sawar hun koh-e-nida ko jata hun

ramidgi ka bayaban hai aur be-KHor-o-KHwab
ghubar karta sukut o sada ko jata hun

qarib hi kisi KHeme se aag puchhti hai
ki is shikoh se kis qartaba ko jata hun

hazar ki dajla-e-dushwar par qadam rakhta
shikar-gah-e-furaat-o-fana ko jata hun

kahan gae wo KHudayan-e-dirham-o-dinar
ki ek dafina-e-dasht-e-bala ko jata hun

safarat-e-had-e-hairangi pe hun mamur
nigar-KHana-e-husn-o-ada ko jata hun

wo din bhi aae ki inkar kar sakun 'sarwat'
abhi to mabad-e-hamd-o-sana ko jata hun