اردو हिंदी
Use malum hai main sar-phira hun | Shaahi Shayari
use malum hai main sar-phira hun

Ghazal

Use malum hai main sar-phira hun

Fazl Tabish

;

use malum hai main sar-phira hun
magar KHush hai ki us ko chahta hun

ye basti kab darindon se thi KHali
main phir bhi Thik logon mein raha hun

jo chahe wo mujhe be-dam le le
KHaridaron ke hathon kam bika hun

teri chahat bahana hai yaqin kar
ba-har surat main KHud ko chahta hun

zara sun be-niyaz-e-lams sun le
main tujh ko chhu ke KHud ko bhulta hun

kahan toDa hai main ne shaKH se gul
main shaKH-e-gul pe gul ko manta hun