use KHalaon ki wusaton ka tajraba hi nahin
wo mere sath kabhi arsh tak gaya hi nahin
main is ko aur hi aalam mein le gaya hota
zamana ungli pakaD kar meri chala hi nahin
har ek chehre pe kitni ibaraten hain raqam
meri jabin pe to kuchh waqt ne likha hi nahin
bala-kashan-e-mohabbat mein hai shumar mera
ye inkishaf to mujh par kabhi hua hi nahin
ba-nam-e-jam-o-subu us ko rokna chaha
tha waqt mujh se bhi chaalak wo ruka hi nahin
qusur us ka nahin hai qusur mera hai
main kam-nasibi ki tah tak kabhi gaya hi nahin
ek aas zehn ke kone mein hai abhi mahfuz
ye aur khilauna hai 'rahat' jo TuTta hi nahin

Ghazal
Use KHalaon ki wusaton ka tajraba hi nahin
Om Krishn Rahat