us sharam-gin ke munh pe na har dam nigah rakh
sar-rishta-e-nigah ko apne nigah rakh
kis lutf se hai aaina dekh us ke ru-ba-ru
gardun na dil mein aarzu-e-mahr-o-mah rakh
diwane chahta hai agar wasl-e-yar ho
tera baDa raqib hai dil is se rah rakh
dildar ho tu ya ki dil-azar tera shauq
dil de chuka main KHwah na rakh is ko KHwah rakh
dawa-e-qatl kar tujhe manzur hai jo dil
daman o tegh-e-yar hi ko tu gawah rakh
main chahta hun tujh ko tu chahe hai ghair ko
ye kya ghazab hai chahne wale ki chah rakh
'joshish' juda hai yar se tu jaanta hun main
itna bhi iztirab KHuda par nigah rakh
Ghazal
Us sharam-gin ke munh pe na har dam nigah rakh
Joshish Azimabadi