us raste par jate dekha koi nahin hai
ghar hai ek aur us mein rahta koi nahin hai
kabhi kabhi to achchha-KHasa chalte chalte
yun lagta hai aage rasta koi nahin hai
ek saheli bagh mein baiThi roti jae
kahti jae sathi mera koi nahin hai
mehr-o-wafa qurbani qisson ki hain baaten
sachchi baat to ye hai aisa koi nahin hai
dekh ke tum ko ek uljhan mein paD jati hun
main kahti thi itna achchha koi nahin hai
us ki wafadari mashkuk Thahar jati hai
kar-e-wafa mein dushman jis ka koi nahin hai
Ghazal
Us raste par jate dekha koi nahin hai
Saima Esma