us pe kya guzregi waqt marg andaza laga
muntashir hasti ka apni jis ko shiraaza laga
auliya-allah ki chaukhaT ke bhi aadab hain
sar uTha kar jo bhi aaya us ko darwaza laga
nur ki chadar tani hai yun faza-e-dahr par
jaise tare toDne ko dast-e-KHamyaza laga
jaane kis andaz se us shoKH ne Dali nazar
jo purana zaKHm tha wo bhi hamein taza laga
mai-kade ka ek hi dam mein badal jae nizam
su-e-mai-KHana bhi 'asi' aisa aawaza laga

Ghazal
Us pe kya guzregi waqt marg andaza laga
Aasi Faiqi