us manzar-e-sada mein kai jal bandhe the
jab us ka gareban khula baal bandhe the
ai zud-faramosh kahan tu hai ki tujh se
mere to shab-o-roz mah-o-sal bandhe the
wo rashk-e-ghazalan tha magar dam mein us ke
hum jaise kai said-e-zabun-haal bandhe the
dekhe koi naseh ki jo haalat hai ki hum to
us but ki mohabbat mein bahar-haal bandhe the
sayyaad ko phir bhi meri parwaz ka Dar tha
main garche qafas mein tha par-o-baal bandhe the
yun dil tah-o-baala kabhi hote nahin dekhe
ek shaKHs ke panw se to bhaunchaal bandhe the
waqt aaya to main maqtal-e-jaan mein tha akela
yaron ki girah mein faqat aqwal bandhe the
Ghazal
Us manzar-e-sada mein kai jal bandhe the
Ahmad Faraz