us ko kisi ke waste be-tab dekhte
hum bhi kabhi ye manzar-e-nayab dekhte
sahil ki ret ne hamein wapas bula liya
warna zarur halqa-e-girdab dekhte
barish ka lutf band makanon mein kuchh nahin
bahar nikalte ghar se to sailab dekhte
aati kisi ko ras shahadat 'husain' ki
duniya mein hum kisi ko to sairab dekhte
raaton ko jagne ke siwa aur kya kiya
aankhen agar mili thin koi KHwab dekhte
Ghazal
Usko kisi ke waste be-tab dekhte
Shahryar