اردو हिंदी
Uski nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua | Shaahi Shayari
uski nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua

Ghazal

Uski nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua

Bashir Farooqi

;

us ki nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua
dil tha sadaf misal ba-rang-e-guhar hua

wo shoKHiyan thin aur na wo rang-rup tha
kal main bahut udas use dekh kar hua

isar aur wafa ki mere dastan ye hai
jab bhi watan pe war hue main sipar hua

wo hadisa to koi baDa hadisa na tha
ye aur baat dil pe ziyaada asar hua

aisa bhi ek dar hai isi kaenat mein
us dar ka jo faqir hua tajwar hua

ab ja ke mujh ko sard shabistan hua nasib
barson tamam jism pasine mein tar hua

dahshat-zada fazaon se wo be-niyaz tha
jab us ka ghar jala hai to us par asar hua

yaad aa gai thi mujh ko shahid-e-wafa ki pyas
dariya ko dekh kar jo mera dil sharar hua

patthar bhi phenkte koi aata nahin idhar
buDhe shajar ki tarah jo main be-samar hua

jis din meri ghazal ne chhue us ke lab 'bashir'
us din meri ghazal ka safar mo'atabar hua