us ki diwar pe manqush hai wo harf-e-wafa
jis ki tabir ko KHwabon ka sahaara na mila
meri tanhai se ukta ke tera nam bhi kal
apne mustaqbil-e-taban ki taraf lauT gaya
jab KHayalat mera sath nahin dete hain
dil mein dar aati hai chupke se wo manus sada
aise KHush-rang sarabon ka sahaara kab tak
muskuraata hun to deti hai tamanna ye sada
main ne chaha tha nai subh ka suraj ban jaun
dur tak daman-e-shab aur bhi kuchh phail gaya
phir KHudai mein hai kyun ghor andheron ko sabaat
hum chalo man gae ek tajalli hai KHuda
sher kahta hun to 'akmal' mera dil kahta hai
fikr-e-awara pe alfaz ki chadar na chaDha
Ghazal
Uski diwar pe manqush hai wo harf-e-wafa
Fasih Akmal