us ke liye aanhken dar-e-be-KHwab mein rakh dun
phir shab ko jala kar unhen mehrab mein rakh dun
surat hai yahi ab to guzarna hai yunhi waqt
jis baat ko dil chahe use KHwab mein rakh dun
phirte hain sada jis mein samundar bhi zamin bhi
ye pura falak bhi usi girdab mein rakh dun
ye sare sitare kisi dariya mein baha dun
bas chand pakaD kar kisi talab mein rakh dun
kapDe jo mujhe tang hon pahna dun KHala ko
aur KHwab purane kahin mahtab mein rakh dun
itna bhi na aasan ho yahan pyas bujhana
bahta hua dhoka sa kahin aab mein rakh dun
sab kuchh hi ganwa dene se behtar hai ki 'shahin'
KHashak-e-dil-o-jaan rah-e-sailab mein rakh dun
Ghazal
Uske liye aanhken dar-e-be-KHwab mein rakh dun
Javed Shaheen