us ke apne darmiyan istada ek diwar main
ek dasht-e-shadmani us mein ek aazar main
main nahin tha tu hi tha aalam mein lekin tere baad
ai KHuda-e-izz-o-jal tera hua izhaar main
shama se hai nur jaisa tera mera insilak
warna tu bahti hawa hai phul ki mahkar main
baKHt ki sazish kahun ya phir mashiyyat ghaib ki
tir-zan koi bhi ho lekin hadaf har bar main
kal talak us ka raha tha dil ko mere ishtiyaq
aaj wo nazdik hai par us se hun bezar main
ek na ek din to musaKHKHar us ko hona hai 'nadim'
wo KHalaon ka makin hai nur ki raftar main
Ghazal
Uske apne darmiyan istada ek diwar main
Javed Nadeem