us ka naqsha ek be-tartib afsane ka tha
ye tamasha tha ya koi KHwab diwane ka tha
sare kirdaron mein be-rishta talluq tha koi
un ki be-hoshi mein gham sa hosh aa jaane ka tha
ishq kya hum ne kiya aawargi ke ahd mein
ek jatan bechainiyon se dil ko bahlane ka tha
KHwahishen hain ghar se bahar dur jaane ki bahut
shauq lekin dil mein wapas lauT kar aane ka tha
le gaya dil ko jo us mahfil ki shab main ai 'munir'
us hasin ka bazm mein andaz sharmane ka tha
Ghazal
Us ka naqsha ek be-tartib afsane ka tha
Muneer Niyazi

