us jangal se jab guzroge to ek shiwala aaega
wahan ruk jaana wahan rah jaana wahan sukh ka ujala aaega
ye soch ke uThna har din tum is dil ka phul khilega zarur
is aas pe sona ab ki shab koi KHwab nirala aaega
jab us ke hath naya mazi is safha-e-arz pe likkhenge
jab sahar o sham raqam honge tab mera hawala aaega
is be-andesha sahra mein is unghne wali ummat par
kab jagne wala utrega kab sochne wala aaega
phir ruhen zaKHmi zaKHmi hain phir koDh se dukhne aae badan
yun lagta hai ki shafaat ko phir koi gwala aaega
ai rah-e-suKHan ke rah-rawo dil-shad raho is rah mein bhi
KHushbu ki sawari Thahregi rangon ka piyala aaega

Ghazal
Us jangal se jab guzroge to ek shiwala aaega
Sabir Waseem