us garmi-e-bazar se baDh kar nahin kuchh bhi
sach jaaniye dukkan ke andar nahin kuchh bhi
hum johd-e-musalsal se jahan TuT ke gir jaen
wo lamha haqiqat hai muqaddar nahin kuchh bhi
majbur tajassus ne kiya hai hamein warna
is qaid ki diwar ke bahar nahin kuchh bhi
ye meri tamanna hai ki jumbish mein hain parde
ek KHwahish-e-paiham hai pas-e-dar nahin kuchh bhi
afkar ki aqlim wirasat hai hamari
aur is ke siwa hum ko mayassar nahin kuchh bhi
darwesh bhi hote hue hum aise ghani hain
darai-e-duniya-e-sikandar nahin kuchh bhi
jis taKHt-e-ghina par mutamakkin hun main 'partaw'
us daulat-e-behad ke barabar nahin kuchh bhi
Ghazal
Us garmi-e-bazar se baDh kar nahin kuchh bhi
Partav Rohila