us gali se mere guzarne tak 
sab tamasha hai mere marne tak 
tu meri jaan raqs mein rahiyo 
gardish-e-kun-fakan Thaharne tak 
waswason se bhara hua tha dil 
us ki chaukhaT pe sar ko dharne tak 
kitne sahra utar gae mujh mein 
ek subu aarzu ka bharne tak 
kitne aalam guzar gae mujh par 
raqs karne se sajda karne tak 
KHun kitna baha tha maqtal mein 
meri aankhon mein KHun utarne tak
        Ghazal
Us gali se mere guzarne tak
Arif Imam

