اردو हिंदी
Us but se mil kar is dil-e-nadan ko kya hua | Shaahi Shayari
us but se mil kar is dil-e-nadan ko kya hua

Ghazal

Us but se mil kar is dil-e-nadan ko kya hua

Lalan Chaudhary

;

us but se mil kar is dil-e-nadan ko kya hua
kyun aah-o-zari hai lab-e-KHandan ko kya hua

diwane apna chaak-e-gareban to si chuke
ab tak na aai fasl-e-bahaaran ko kya hua

donon-jahan hain muntazir-e-roz-e-hashr phir
us shoKH chashm-e-fitna-e-dauran ko kya hua

phulon mein koi bu hai na kaliyon mein tazgi
ai andalib rang-e-gulistan ko kya hua

dil mein wahi KHalish hai wahi iztirab hai
chaaragaron ke dawa-e-darman ko kya hua

dil puchhta hai aaj bhi wo rashk-e-nau-bahaar
aaya na us ke wada-o-paiman ko kya hua

karte ho aaj kufr ki baaten jagah jagah
'afat' tumhaare din ko iman ko kya hua