اردو हिंदी
Us banda ki chah dekhiyega | Shaahi Shayari
us banda ki chah dekhiyega

Ghazal

Us banda ki chah dekhiyega

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

us bande ki chah dekhiyega
aur us ka nibah dekhiyega

main kaise nibahta hun tum se
insha-allah dekhiyega

faujen ashkon ki tul rahi hain
ye hashmat-o-jah dekhiyega

aashiq mujhe jaan karte hain qatl
taqsir o gunah dekhiyega

'insha' se aap ab KHafa hain
yun bhar ke nigah dekhiyega