unhen ab koi aaina dijiye
zara asli surat dikha dijiye
biThae hain pahre bahut aap ne
zaban pe bhi tala laga dijiye
wichaaron se hi wo to bimar hain
koi soch ki ab dawa dijiye
saza hi sahi kuchh to de jaiye
wafaon ka ab to sila dijiye
jo insan se insan ko waqif kare
hamein koi aisa KHuda dijiye
mohabbat hai ye kab ye bandhan lagi
bhale kitni sarhad bana dijiye
Ghazal
Unhen ab koi aaina dijiye
Seema Sharma Sarhad