un ko roz ek taza hila ek KHanjar chahiye
hum ko roz ek jaan nai aur ek naya sar chahiye
iltifat o sargirani par KHushi kya ranj kya
kuchh bahana is se baDh kar dida-e-tar chahiye
kya dikhaen KHushk lab do bund ke saqi hain sab
pyas sahra-e-azal us ko samundar chahiye
sach ki ek nannhi si konpal ko kuchalne ke liye
jhuT aur dushnam ke lashkar ke lashkar chahiye
sabr ka daman-e-daulat hai amiron ka amir
jabr ki daryuzgi ko sainkaDon dar chahiye
but banane pujne phir toDne ke waste
KHud-parasti ko naya har roz patthar chahiye
hum ne jis duniya ko Thukraya tha un ke waste
mil gae wo to usi duniya ka chakkar chahiye
Ghazal
Un ko roz ek taza hila ek KHanjar chahiye
Waheed Akhtar