un ko mere zabt-e-gham se bhi gila rah jaega
mushkilen jab KHatm hongi hausla rah jaega
rafta rafta dil bhi Thahra aankh se aansu ruke
hum ye samjhe the ki ye gham jaan le kar jaega
ek ek kar ke zamin se sab gale mil jaenge
jaane-pahchanon se rishta yaad ka rah jaega
manzilon ki KHwahishen jab toD dengi dil mein dam
jaane walon ke liye bas rasta rah jaega
aap ki aankhon mein utra hai to ujla ho gaya
kya KHabar thi aks mera aaina ho jaega
nisbaten hum se zamin ki chhin gain 'parwin' to kya
aasmanon se hamara rabta rah jaega

Ghazal
Un ko mere zabt-e-gham se bhi gila rah jaega
Parveen Mirza