اردو हिंदी
Unki KHalwat mein rasa bhi hoga | Shaahi Shayari
unki KHalwat mein rasa bhi hoga

Ghazal

Unki KHalwat mein rasa bhi hoga

Rasa Rampuri

;

un ki KHalwat mein 'rasa' bhi hoga
kabhi yun hukm-e-KHuda bhi hoga

mujh pe jo tu ne sitam Dhaya hai
kahin duniya mein hua bhi hoga

sabr walon ka bhi din aaega
ek din roz-e-jaza bhi hoga

aap sa koi nahin duniya mein
aap ne ye to suna bhi hoga

mahfil-e-sher mein ho aaen chalo
aaj sunte hain 'rasa' bhi hoga