umr kaTi buton ki aaDon mein
ban ke patthar raha pahaDon mein
wo laDai mein bol uThe mujh se
baat achchhi bani bigaDon mein
dard-e-sar ke ilaj ko wahshat
khinch kar le chali pahaDon mein
mastiyan aur bahaar ka mausam
mai ki lazzat gulabi jaDon mein
duKHtar-e-raz ki sharm to dekho
chhup gai ja ke KHum ki aaDon mein
tu ne pi hi nahin hai ai zahid
mai ki garmi na puchh jaDon mein
tere gesu bhi ho gae shamil
meri taqdir ke bigaDon mein
marg-e-dushman pe maut roti hai
ye asar hai teri pachhaDon mein
uThte joban pe khul paDe gesu
aa ke jogi base pahaDon mein
wo gale se lipaT ke sote hain
aaj-kal garmiyan hain jaDon mein
ishq mein jaan par bani 'muztar'
zindagi kaT gai bigaDon mein

Ghazal
Umr kaTi buton ki aaDon mein
Muztar Khairabadi