ummid hai ki mujh ko KHuda aadmi kare
par aadmi kare to bhala aadmi kare
is tarah wo fareb se dil le gae mera
jis tarah aadmi se dagha aadmi kare
bhatin nahin kuchh us ke nikalti hai apni jaan
kya aise bewafa se wafa aadmi kare
mara hai kohkan ne sar apne pe tesha aah
dil ko lagi ho choT to kya aadmi kare
gar kuchh kaha bigaD ke main bas us ne hans diya
kya aise aadmi ka gila aadmi kare
guzra main aisi chah se ta-chand ham-nashin
baiTha kisi ke sar ko laga aadmi kare
hai ishq bad-maraz koi jata hai 'muntazir'
kya KHak is maraz ki dawa aadmi kare

Ghazal
Ummid hai ki mujhko KHuda aadmi kare
Miyan Noor-ul-Islam Muntazir