uljhao ka maza bhi teri baat hi mein tha
tera jawab tere sawalat hi mein tha
saya kisi makin ka bhi jis par na paD saka
wo ghar bhi shahr-e-dil ke mazafat hi mein tha
ilzam kya hai ye bhi na jaana tamam umr
mulzim tamam umr hawalat hi mein tha
yaron ko inhiraf ka jis par raha ghurur
wo rasta bhi dasht-e-riwayat hi mein tha
ab to faqat badan ki murawwat hai darmiyan
tha rabt-e-jaan-o-dil to shuruat hi mein tha
mujh ko jo qatl kar ke manata raha hai jashn
wo bad-nihad shaKHs meri zat hi mein tha
Ghazal
Uljhao ka maza bhi teri baat hi mein tha
Aziz Qaisi