ulfat se ho KHak hum ko lahna
qismat mein to hai azab sahna
dhyan us ke mein hum ko sar-ba-zanu
aankhen kiye band baiThe rahna
munh chahiye chahne ko yun ji
kya tum ne kaha ye phir to kahna
allah-re sadgi ka aalam
darkar nahin kuchh us ko gahna
kar band na ashk-e-chashm-e-tar ko
behtar nasur ka hai bahna
qaem rahe kya imarat-e-dil
buniyaad mein to paDa hai Dhahna
shab ghar jo raha mere wo mehman
tha subh ye kis ada se kahna
taqat na rahi badan mein he he
qurban kiya tha yan ka rahna
dil ne bhi diya na sath 'jurat'
kya dosh kisi ko dije lahna
Ghazal
Ulfat se ho KHak hum ko lahna
Jurat Qalandar Bakhsh