ujle moti hum ne mange the kisi se thaal bhar
aur us ne de diye aansu hamein rumal bhar
jis qadar paude khaDe the rah gae hain Dal bhar
dhup ne phir bhi rawayye ko na badla baal bhar
yun laga aakash jaise muTThiyon mein bhar liya
mere qabze mein parinde aa gae jab jal bhar
us ki aankhon ka bayan us ke siwa kya kijiye
wusaten aakash si gahraiyan patal bhar
chhoD aae jab se hum college ki 'shahid' naukri
chhuTTiyon ke muntazir rahne lage hain sal bhar
Ghazal
Ujle moti humne mange the kisi se thaal bhar
Shahid Meer