ujala jab shab-e-zulmat par utarta hai
wo harf harf meri zat par utarta hai
us ek rang pe qurban dil ke sab mausam
jo rang shiddat-e-jazbaat par utarta hai
wo KHwab-gah ki raunaq wo chand jaisa badan
kabhi hayat kabhi zat par utarta hai
suKHan-waran-e-kuhan us pe rashk karte hain
jo dard parcha-e-abyat par utarta hai
kabhi-kabhaar to suqraat ki rida ban kar
shuur-e-fikr tilismat par utarta hai
Ghazal
Ujala jab shab-e-zulmat par utarta hai
Azm Shakri

