ujala chhin raha hai raushni taqsim hoti hai
teri aawaz hai ya zindagi taqsim hoti hai
kabhi reg-e-rawan se pyas bujh jati hai rahraw ki
kabhi dariya ke hathon tishnagi taqsim hoti hai
yahi wo moD hai apne parae chhuT jate hain
qarib-e-ku-e-jaanan gumrahi taqsim hoti hai
KHushi ke nam par aankhon mein aansu aa hi jate hain
ba-qadr-e-gham mohabbat mein KHushi taqsim hoti hai
yaqin aaya tere shadab paikar ki khanak sun kar
badan ke zawiyon mein yun hansi taqsim hoti hai
qayamat hai dilon ke darmiyan diwar uThate ho
dilon ke dard ki hamsaegi taqsim hoti hai
wahin kal waqt ne khai thi Thokar yaad hai ab tak
wo pech-o-KHam jahan teri gali taqsim hoti hai
sar-e-pahna-e-naghma 'shaz' kuchh shoala sa uThta hai
suna hai daulat-e-paighambari taqsim hoti hai

Ghazal
Ujala chhin raha hai raushni taqsim hoti hai
Shaz Tamkanat