udasi ka samundar dekh lena
meri aankhon mein aa kar dekh lena
hamare hijr ki tamhid kya thi
meri yaadon ka daftar dekh lena
tasawwur ke labon se chum lunga
teri yaadon ke patthar dekh lena
nujumi ne ye ki hai pesh-goi
rulaega muqaddar dekh lena
na rakhna wasta tum mujh se lekin
meri hijrat ka manzar dekh lena
tamanna hai agar milne ki mujh se
mujhe mere hi andar dekh lena
makan shishe ka banwate ho 'azar'
bahut aaenge patthar dekh lena
Ghazal
Udasi ka samundar dekh lena
Kafeel Aazar Amrohvi