اردو हिंदी
Udas sham ki tanhaiyon mein jalta hua | Shaahi Shayari
udas sham ki tanhaiyon mein jalta hua

Ghazal

Udas sham ki tanhaiyon mein jalta hua

Rafique Khayal

;

udas sham ki tanhaiyon mein jalta hua
wo kash aae kabhi mere pas chalta hua

shab-e-firaq ne mismar sare KHwab kiye
koi to muzhda sunae ye din nikalta hua

hai kya ajab ki kabhi chand bhi andheron mein
sukun talash kare zawiye badalta hua

mere masiha KHuda aaj tera rakkhe bharam
nazar mujhe nahin aata ye ji bahalta hua

main raushni ke nagar mein paDaw KHak karun
Dara raha hai mujhe apna saya Dhalta hua