TuTi hui shabih ki tasKHir kya karen
bujhte hue KHayal ko zanjir kya karen
andha safar hai zist kise chhoD de kahan
uljha hua sa KHwab hai tabir kya karen
sine mein jazb kitne samundar hue magar
aankhon pe iKHtiyar ki tadbir kya karen
bas ye hua ki rasta chup-chap kaT gaya
itni si wardat ki tashhir kya karen
saat koi guzar bhi len ji to len kabhi
kuchh aur apne bab mein tahrir kya karen
Ghazal
TuTi hui shabih ki tasKHir kya karen
Akram Naqqash