اردو हिंदी
TuTi hui diwar ka saya to nahin hun | Shaahi Shayari
TuTi hui diwar ka saya to nahin hun

Ghazal

TuTi hui diwar ka saya to nahin hun

Mazhar Imam

;

TuTi hui diwar ka saya to nahin hun
main tera hi bhula hua wada to nahin hun

guzra tha dabe panw jahan se tu shab-e-mah
main hi wo tera bagh-e-tamanna to nahin hun

jis naqsh pe chalne ki qasam khati hai duniya
main hi wo tera naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hun

auron se mera nam ulajhta hai to uljhe
shikwa tujhe kyun ho ki main tera to nahin hun

kyun KHud ko na chahun ki tera dil to nahin main
kyun KHud ko bhula dun ki zamana to nahin hun

tu meri zarurat meri aadat to nahin hai
mahtab-e-zamin mein tera haala to nahin hun

baghon se uDai hui KHushbu hi sahi tu
main nikhat-e-be-bak ka parda to nahin hun

main aks-e-gurezan to nahin apni ana ka
main tera hi TuTa hua rishta to nahin hun

main aaKHiri jadu to nahin sahir-e-shab ka
sahma hua main subh ka tara to nahin hun