اردو हिंदी
TuTa phuTa sahi ehsas-e-ana hai mujh mein | Shaahi Shayari
TuTa phuTa sahi ehsas-e-ana hai mujh mein

Ghazal

TuTa phuTa sahi ehsas-e-ana hai mujh mein

Indr Swarup Srivastava

;

TuTa phuTa sahi ehsas-e-ana hai mujh mein
aisa lagta hai koi aur chhupa hai mujh mein

kirchiyan shishe ki paikar mein nihan hain mere
aks-dar-aks koi sang-numa hai mujh mein

ab wo shorida-sari hai na wo jazbon ki sada
bas ufuq-ta-ba-ufuq ek KHala hai mujh mein

KHwab-dar-KHwab mera phulon ki wadi ka safar
aankh khul jae to ek dasht-e-bala hai mujh mein

satwat-e-jabr wahi rang ki diwar wahi
ek ehsas hai jo mujh se siwa hai mujh mein

har nafas mera sulagte hue KHwabon ka dhuan
aarzuon ka koi shahr jala hai mujh mein

sunta rahta hun main mazlum ki chiKHen bhi 'sarup'
ya ki paikar kisi qatil ka chubha hai mujh mein