TuTa hua aaina jo raste mein paDa tha
suraj ki tarah meri nigahon mein chubha tha
nam apna hi main sab se khaDa puchh raha tha
kuchh meri samajh mein nahin aaya ki ye kya tha
aaankhon ke dariche nazar aate the muqaffal
aur zehn ke kamre mein dhuan phail raha tha
jati hui baraat ne ek lamha ThiThak kar
Thahri hui ek lash pe matam bhi kiya tha
mazi nahin marta hai yaqin aa gaya mujh ko
bita hua har pal wo liye sath khaDa tha
tufan ki zad mein the KHayalon ke safine
main ulTa samundar ki taraf bhag raha tha
Ghazal
TuTa hua aaina jo raste mein paDa tha
Aftab Shamsi