اردو हिंदी
TuT gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya | Shaahi Shayari
TuT gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya

Ghazal

TuT gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya

Ahmad Mushtaq

;

TuT gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya
sang-o-kuluKH rah gae lahar gai bhanwar gaya

wo bhi ajib daur tha dil ka chalan hi aur tha
sham hui to ji uTha subh hui to mar gaya

kis ke bandhe hue the hum daman-e-mahtab se
hum bhi udhar udhar gae chand jidhar jidhar gaya

kitne rafiq-o-ham-safar jin ki mili na kuchh KHabar
kis ke qadam uThe kidhar kaun kahan pasar gaya

bujh gai raunaq-e-badan uD gaya rang-e-pairahan
jaan umid-war-e-man waqt bahut guzar gaya