اردو हिंदी
Tufan samajh liya kabhi sahil bana liya | Shaahi Shayari
tufan samajh liya kabhi sahil bana liya

Ghazal

Tufan samajh liya kabhi sahil bana liya

Khalid Mahmood Zaki

;

tufan samajh liya kabhi sahil bana liya
ai shauq-e-be-aman tujhe manzil bana liya

ab jism-o-jaan-e-naz pe TuTen qayamaten
us se gurez kya jise hasil bana liya

kuchh intiha-e-shauq ke the silsile ajab
mushkil nahin tha jo use mushkil bana liya

jis din ki intizar tha karna nahin kiya
KHud ko mizaj-e-yar ke qabil bana liya

us rah par chale jo zamane se haT ke thi
aur kar-e-zindagi tujhe mushkil bana liya

chhoDa nahin banae bana zimme jo bhi tha
phir bhi nahin kuchh aisa ki be-dil bana liya

jab chaha ai samay tujhe raunaq se kaT kar
KHalwat-nashini-e-shab-e-mahfil bana liya

pani hi kya hawa bhi nahin e'tibar ki
ye jaan kar Thikana sar-e-gil bana liya