tufan koi nazar mein na dariya ubaal par
wo kaun the jo bah gae parbat ki Dhaal par
karne chali thi aql junun se mubahise
patthar ke but mein Dhal gai pahle sawal par
mera KHayal hai ki use bhi nahin sabaat
jaan de raha hai sara jahan jis jamal par
le chal kahin bhi aarzu lekin zaban de
hargiz na KHun roegi apne maal par
aise makan se to yahan be-makan bhale
hai inhisar jis ka mahz ehtimal par
'majid' KHuda ke waste kuchh der ke liye
ro lene de akela mujhe apne haal par
Ghazal
Tufan koi nazar mein na dariya ubaal par
Hussain Majid