tufan hai shaiKH qahriya hai 
jo harf hai tis ke tahriya hai 
dil kyun na bhanwar ho aaj mera 
chira tere sar pe lahariya hai 
tujh husn ke bagh mein sirijan 
KHurshid gul-e-dopahriya hai 
ab din hua zamana-sazi 
aafaq tamam dahriya hai
 
        Ghazal
Tufan hai shaiKH qahriya hai
Abroo Shah Mubarak

