اردو हिंदी
Tu pasheman na ho main shad hun nashad nahin | Shaahi Shayari
tu pasheman na ho main shad hun nashad nahin

Ghazal

Tu pasheman na ho main shad hun nashad nahin

Zeb Ghauri

;

tu pasheman na ho main shad hun nashad nahin
zindagi tera karam hai teri bedad nahin

wo sanam-KHana-e-dil ho ki guzar-gah-e-KHayal
main ne tujh ko kahin dekha hai magar yaad nahin

dekh ai KHak-e-pareshani-e-KHatir meri
tu ne samjha tha ki tujh sa koi barbaad nahin

DhunDti phirti hain jaane meri nazren kis ko
aisi basti mein jahan koi bhi aabaad nahin

kab hamein apni udasi ki KHabar thi ai 'zeb'
muskurae hain to dekha hai ki dil shad nahin