اردو हिंदी
Tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe | Shaahi Shayari
tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe

Ghazal

Tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe

Zia Fatehabadi

;

tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe
kyun na kar jata bhari mahfil mein dil tanha mujhe

shaKH-dar-shaKH ab koi DhunDa kare patta mujhe
main to KHud TuTa hun aandhi ne nahin toDa mujhe

laghzish-e-pa ne diya har rah mein dhoka mujhe
ta-dar-e-manzil tu hi ai jazb-e-dil pahuncha mujhe

surat-e-aina hairat se wo takta rah gaya
aaina-KHane mein jis ne ghaur se dekha mujhe

mar hi Dalegi ek din karobar-e-zist mein
tang-damani teri ai wusat-e-duniya mujhe

umr-bhar milti rahi teri adalat se na puchh
meri na-karda-gunahi ki saza kya kya mujhe

barg-e-gul par raqs-e-shabnam ka ye manzar ai 'ziya'
ab to aata hai nazar har qatre mein dariya mujhe