اردو हिंदी
Tu na ho ham-nafas agar jine ka lutf hi nahin | Shaahi Shayari
tu na ho ham-nafas agar jine ka lutf hi nahin

Ghazal

Tu na ho ham-nafas agar jine ka lutf hi nahin

Hadi Machlishahri

;

tu na ho ham-nafas agar jine ka lutf hi nahin
jis mein na tu sharik ho maut hai zindagi nahin

ishrat-e-did hai yahi apna bhi kuchh rahe na hosh
jalwa ba-qaid-e-tab-e-did asl mein jalwa hi nahin

awwal-e-ishq hi mein kya dil ka maal dekhna
ye to hai ibtida-e-soz aag abhi lagi nahin

ishq hai kaif-e-be-KHudi is ko KHudi se kya gharaz
jis ki faza ho wasl o hijr ishq wo ishq hi nahin

ye bhi na ho KHabar ki sar sajde mein hai jhuka hua
jis mein ho bandagi ka hosh wo koi bandagi nahin

kis ka sar-e-niyaz tha pa-e-ayaz par jhuka
mana-e-bandagi-e-shauq satwat-e-KHusrawi nahin

kar na sukun-e-dil ka gham hadi-e-mubtala zara
ishq ki bargah mein dard ki kuchh kami nahin