tu na aaega mujhe jab se yaqin aa gaya hai
aasman jaise mera zer-e-zamin aa gaya hai
jis ke milne ko masafat thi kai barson ki
ek hi pal mein wo ham-zad yahin aa gaya hai
nikhra nikhra sa hai har sher ghazal ka meri
soch mein jab se tasawwur wo hasin aa gaya hai
har taraf tanz ke nashtar hain hamari jaanib
kis ke hathon mein mera din-e-mubin aa gaya hai
aa gaya kaam mere rose ka rona dhona
jo na aata tha kabhi mere qarin aa gaya hai
gardish-e-waqt Tali ek hi lamhe ko yunhi
ruKH pe zulfon ko bikhere wo hasin aa gaya hai
sehn-e-gulshan mein sarasimgi kaisi hai 'nabil'
ahl-e-gulshan mein koi dasht-nashin aa gaya hai

Ghazal
Tu na aaega mujhe jab se yaqin aa gaya hai
Nabeel Ahmad Nabeel