tu meri baat ke jadu mein to aa hi jata
chahta main to tere dil mein sama hi jata
bah gai ek sada sail-e-sada mein warna
main tere shahr mein ek shor uTha hi jata
wo agar dekh chuka tha kai nili lashen
kya zaruri tha ki phir zahr chakha hi jata
hum to kya KHud use malum tha anjam apna
dekhne ke liye kaun us ki tabahi jata
ye zamin ek naya rasta hoti 'ashhar'
hum se pahle jo udhar se koi rahi jata
Ghazal
Tu meri baat ke jadu mein to aa hi jata
Iqbal Ashhar Qureshi