tu mil us se ho jis se dil tera KHush
bala se teri main na-KHush hun ya KHush
KHushi teri jise har-dam ho darkar
koi is se nahin hota hai na-KHush
koi ab ke zamane mein na hoga
ilahi aashna se aashna KHush
falak ke hath se ai KHaliq-e-KHalq
kui nahin aa ke duniya mein raha KHush
tera saya ho jis par us ko hargiz
na aawe saya-e-baal-e-huma KHush
qafas mein aah had iza hai hum ko
na aati kash gulshan ki hawa KHush
agar lawe tu bu us gul-badan ki
to hon tujh se nihayat ai saba KHush
kiya qatl un ne mujh ko ghair se mil
hua dushman juda KHush wo juda KHush
nasihat ki thi un ne mai-kashon ko
bahut maston ne zahid ko kiya KHush
mu-e-atish mein jal parwana o shama
mohabbat se main un ki had hua KHush
kiya chaak ai junun tera bhala ho
kabhu main is gareban se na tha KHush
gaya tha sair ko le saqi o mai
na aai bagh ki aab-o-hawa KHush
kiya qatil ne bismil ko mere dekh
mujhe lagta hai is ka loTna KHush
sune kyunkar wo labbaik-e-haram ko
jise naqus ki aae sada KHush
satana be-dilon ke dil ko har-dam
tumhein ai dilbaro aata hai kya KHush
sumud o qaqum o sanjab hai pashm
mujhe aata hai TuTa boriya KHush
sanam ke pas se qasid phira hai
KHuda jaane ki main na-KHush hun ya KHush
koi KHush howe KHuban ki wafa se
mujhe to un ki aati hai jafa KHush
na chhoDunga kabhi main but-parasti
na ho go mujh se ai 'taban' KHuda KHush
Ghazal
Tu mil us se ho jis se dil tera KHush
Taban Abdul Hai