اردو हिंदी
Tu kahan hai tujhse ek nisbat thi meri zat ko | Shaahi Shayari
tu kahan hai tujhse ek nisbat thi meri zat ko

Ghazal

Tu kahan hai tujhse ek nisbat thi meri zat ko

Shahryar

;

tu kahan hai tujh se ek nisbat thi meri zat ko
kab se palkon par uThae phir raha hun raat ko

mere hisse ki zamin banjar thi main waqif na tha
be-sabab ilzam main deta raha barsat ko

kaisi basti thi jahan par koi bhi aisa na tha
munkashif main jis pe karta apne dil ki baat ko

sari duniya ke masail yun mujhe darpesh hain
tera gham kafi na ho jaise guzar-auqat ko