اردو हिंदी
Tu jism hai to mujhse lipaT kar kalam kar | Shaahi Shayari
tu jism hai to mujhse lipaT kar kalam kar

Ghazal

Tu jism hai to mujhse lipaT kar kalam kar

Anwar Sadeed

;

tu jism hai to mujh se lipaT kar kalam kar
KHushbu hai gar to dil mein simaT kar kalam kar

main ajnabi nahin hun mujhe raund kar na ja
nazren mila ke dekh palaT kar kalam kar

baala-e-baam aane ka gar hausla nahin
palkon ki chilmanon mein simaT kar kalam kar

qaus-e-quzah ke rang mayassar nahin to phir
dariya ki mauj mauj mein baT kar kalam kar

jannat mein ya to mujh ko purana maqam de
ya aa meri zamin mein palaT kar kalam kar

anwar 'sadid' aam sa banda hai us ke sath
miTTi pe baiTh gard mein aT kar kalam kar