اردو हिंदी
Tu dekh use sab ja aankhon ke uTha parde | Shaahi Shayari
tu dekh use sab ja aankhon ke uTha parde

Ghazal

Tu dekh use sab ja aankhon ke uTha parde

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

tu dekh use sab ja aankhon ke uTha parde
manind suwaida ke dil bich use ghar de

aalam ke muraqqe mein taswir usi ki hai
sab husn yahan yaro us husn ke hain garde

sayyaad ka sharminda hun be-par-o-baali se
uD kar abhi ja pahunchun jo mujh ko KHuda par de

saqi tujhe kam-zarfi maston se nahin lazim
tarsa na mujhe kafir saghar ke tain bhar de

bazm-e-dil-e-mushtaqan jun sham-e-ghariban hai
yak jalwa mein tu raushan aa sham-e-sifat kar de

hum arz kiya us ki KHidmat mein ki ai sahab
itne tere bandon mein ek hum bhi hain nau-warde

daulat se teri sab kuchh hum pas muhayya hai
lab KHushk o jigar biryan chashm-e-tar o dil sar de

'hatim' wo laga kahne ghusse se ki chal jhuThe
banda main use jaanun jo pahle qadam sar de

hushyar karun 'hatim' maston ko nigahon mein
qatra mai-e-wahdat se jo saqi-e-kausar de