tu dariya hai aur Thaharne wala main
gum hai mujh mein KHud se guzarne wala main
suraj jaisa manzar manzar bikhra tu
aainon ki dhup se Darne wala main
teri gali se sar ko jhukae guzra hun
kabhi zamin par panw na dharne wala main
saya saya dhup ugane wala tu
KHwabon jaisa aankh utarne wala main
jis basti mein sham utarne wali ho
us basti ke nam se Darne wala main
kisi waraq par mujhe na likhna dost mere
andar bahar roz bikharne wala main

Ghazal
Tu dariya hai aur Thaharne wala main
Saleem Muhiuddin