tu dard-e-taza ke unwan ki mahurat hai
sakhi sakhi mujhe ab bhi teri zarurat hai
tujhe guphaon kahin aab nanw mein dekha
azal se aaina-dil mein teri surat hai
rakhkhun sambhaal ke kab tak ye zindagi tujh bin
tere milan ka sabab hai na koi surat hai
siDaul panw subuk sohna sajal nanw
nasha-taraaz-badan mohna madhurat hai
yahi na tere liye koh kaTe ban paTe
tujhe kuchh aur bhi mujh se koi kudurat hai
Ghazal
Tu dard-e-taza ke unwan ki mahurat hai
Nasir Shahzad